wo shab-e-furqat mein bhi yun muskurae ja rahen hain
vo shab-e-furqat meñ bhī yuuñ muskurā.e jā raheñ haiñ
hijr ke lamhe na kyoñ ham se guzāre jā raheñ haiñ
ai ḳhudā mujh ko ijāzat de ki us ko chhū sakūñ maiñ
kab se aise chāñd ko ḳhālī nihāre jā raheñ haiñ
āsmāñ ke canvas par chāñd baaqī thā banānā
so tire chehre sā ik chehra banā.e jā raheñ haiñ
naam likkhā phir se ham ne ek panne par tumhārā
ab vahī pannā tumhīñ se ham chhupā.e jā raheñ haiñ
ishq kī ye raushnā.ī kam na ho jaa.e ke Dar se
ham charāġhoñ kī jagah par dil jalā.e jā rahe haiñ
ek vo jo bhuul se bhī phone karte haiñ na ham ko
aur pāgal ham busy number milā.e jā rahe haiñ
soch lo ārām se inkār kā koī bahānā
kaun sā ham chhoḌ kar ye shahr bhāge jā rahe haiñ
be-adab kah kar mujhe rusvā kiyā thā yaar jis ne
aaj vo har she'r par taalī ba-jā.e jā rahe haiñ
dard meñ bhī ishq par sāhab jo kahte tum ġhazal ho
lag rahā ḳhud se hī ḳhud ko aap maare jā rahe haiñ
wo shab-e-furqat mein bhi yun muskurae ja rahen hain
hijr ke lamhe na kyon hum se guzare ja rahen hain
ai KHuda mujh ko ijazat de ki us ko chhu sakun main
kab se aise chand ko KHali nihaare ja rahen hain
aasman ke canwas par chand baqi tha banana
so tere chehre sa ek chehra banae ja rahen hain
nam likkha phir se hum ne ek panne par tumhaara
ab wahi panna tumhin se hum chhupae ja rahen hain
ishq ki ye raushnai kam na ho jae ke Dar se
hum charaghon ki jagah par dil jalae ja rahe hain
ek wo jo bhul se bhi phone karte hain na hum ko
aur pagal hum busy number milae ja rahe hain
soch lo aaram se inkar ka koi bahana
kaun sa hum chhoD kar ye shahr bhage ja rahe hain
be-adab kah kar mujhe ruswa kiya tha yar jis ne
aaj wo har she'r par tali ba-jae ja rahe hain
dard mein bhi ishq par sahab jo kahte tum ghazal ho
lag raha KHud se hi KHud ko aap mare ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.