wo shab kis tirgi mein kho gai hai
vo shab kis tīrgī meñ kho ga.ī hai
palaT kar phir na aa.ī jo ga.ī hai
abhī aatī huuñ kah kar vo ga.ī hai
bahānā hī banā kar to ga.ī hai
mohabbat soch kar maiñ ne nahīñ kī
mohabbat ādatan phir ho ga.ī hai
jo kahtī hai ki ḳhush hai duur rah kar
vo merā naam sun kar ro ga.ī hai
tirī ḳhushbū kā ḳhat meñ zikr paḌh kar
divānī ek titlī ho ga.ī hai
shikasta-hāl rusvā ġham-shanāsā
firāq-e-yār kī shab so ga.ī hai
ḳhudā-hāfiz ho us kā jo mohabbat
fanā hone kī ḳhātir ho ga.ī hai
wo shab kis tirgi mein kho gai hai
palaT kar phir na aai jo gai hai
abhi aati hun kah kar wo gai hai
bahana hi bana kar to gai hai
mohabbat soch kar main ne nahin ki
mohabbat aadatan phir ho gai hai
jo kahti hai ki KHush hai dur rah kar
wo mera nam sun kar ro gai hai
teri KHushbu ka KHat mein zikr paDh kar
diwani ek titli ho gai hai
shikasta-haal ruswa gham-shanasa
firaq-e-yar ki shab so gai hai
KHuda-hafiz ho us ka jo mohabbat
fana hone ki KHatir ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.