wo shab-o-roz KHayalon mein tamasha na kare
vo shab-o-roz ḳhayāloñ meñ tamāshā na kare
aa nahīñ saktā to phir yaad bhī aayā na kare
ek ummīd kī khiḌkī sī khulī rahtī hai
apne kamre kā koī bulb bujhāyā na kare
roz email kare surḳh image hoñToñ ke
maiñ kisī aur sitāre pe huuñ sochā na kare
hāfiza ek amānat hai kisī kī lekin
yaad kī sard havā shaam ko royā na kare
chāñd ke husn pe har shaḳhs kā haq hai 'mansūr'
maiñ use kaise kahūñ raat ko niklā na kare
wo shab-o-roz KHayalon mein tamasha na kare
aa nahin sakta to phir yaad bhi aaya na kare
ek ummid ki khiDki si khuli rahti hai
apne kamre ka koi bulb bujhaya na kare
roz email kare surKH image honTon ke
main kisi aur sitare pe hun socha na kare
hafiza ek amanat hai kisi ki lekin
yaad ki sard hawa sham ko roya na kare
chand ke husn pe har shaKHs ka haq hai 'mansur'
main use kaise kahun raat ko nikla na kare
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 441)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.