wo shajar kya jo pur-samar na hua
vo shajar kyā jo pur-samar na huā
dil vo kyā jis meñ terā ghar na huā
bebasī bhī ajiib aalam hai
hausla koī bārvar na huā
dasht-e-vahshat meñ ek bhī na milā
rāsta jo ki pur-ḳhatar na huā
fasl-e-gul aa.ī bhī to kab aa.ī
jabki baazū meñ koī par na huā
pesh rahtā hai ab tasavvur-e-yār
dard-e-dil de ke be-ḳhabar na huā
milnā kaisā ki yaad bhī na kiyā
mere nāloñ kā kuchh asar na huā
dosh taqdīr kā hī phir niklā
ḳhat jo likkhā to nāma-bar na huā
ye bhī achchhā huā ki tū aa kar
merī mayyat pe nauhagar na huā
apnī qismat ko aazmā letā
kyā kahūñ us kā sang-e-dar na huā
sozish-e-ġham se ab kahāñ aañsū
un kā dāman bhī aaj tar na huā
rasm-e-ulfat bhī ek gahrā raaz
koī bhī is se bā-ḳhabar na huā
zulm kab tak bhalā sahe un ke
ek patthar huā jigar na huā
aisī likkhī ġhazal ki yāroñ se
lafz koī idhar udhar na huā
mar-miTe jis ke ishq meñ 'sayyāf'
vo hī afsos bā-ḳhabar na huā
wo shajar kya jo pur-samar na hua
dil wo kya jis mein tera ghar na hua
bebasi bhi ajib aalam hai
hausla koi barwar na hua
dasht-e-wahshat mein ek bhi na mila
rasta jo ki pur-KHatar na hua
fasl-e-gul aai bhi to kab aai
jabki bazu mein koi par na hua
pesh rahta hai ab tasawwur-e-yar
dard-e-dil de ke be-KHabar na hua
milna kaisa ki yaad bhi na kiya
mere nalon ka kuchh asar na hua
dosh taqdir ka hi phir nikla
KHat jo likkha to nama-bar na hua
ye bhi achchha hua ki tu aa kar
meri mayyat pe nauhagar na hua
apni qismat ko aazma leta
kya kahun us ka sang-e-dar na hua
sozish-e-gham se ab kahan aansu
un ka daman bhi aaj tar na hua
rasm-e-ulfat bhi ek gahra raaz
koi bhi is se ba-KHabar na hua
zulm kab tak bhala sahe un ke
ek patthar hua jigar na hua
aisi likkhi ghazal ki yaron se
lafz koi idhar udhar na hua
mar-miTe jis ke ishq mein 'sayyaf'
wo hi afsos ba-KHabar na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.