Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shaKHs bahut karb se kahta tha yahi baat

Mohammad Mustahsan Jami

wo shaKHs bahut karb se kahta tha yahi baat

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    vo shaḳhs bahut karb se kahtā thā yahī baat

    is shahr vahshat se to achchhe the mazāfāt

    in saare jhameloñ se maiñ vāqif huuñ azal se

    dikhlā na mujhe hijr ye kashf-o-karāmāt

    tum shauq se aa.e ho magar zehn meñ rakhnā

    maiñ dasht huuñ aur dasht meñ hotī nahīñ barsāt

    bastī meñ koī ḳhauf panap saktā nahīñ hai

    al-hamd ki maujūd qabīle meñ haiñ sādāt

    jiine riyāzat meñ samay kaaT rahe haiñ

    ham logoñ duniyā meñ na din hai na koī raat

    kartā hai talāsh apnī marzī se dīvāne

    ye ishq hai is hai qabīla na koī zaat

    darvesh duniyā meñ faqat sabr-o-razā hai

    darvesh talab kartā nahīñ koī maqāmāt

    ye peḌ tirī yaad se sarsabz huā hai

    jhaḌ sakte nahīñ is ke kisī taur kabhī paat

    maiñ kaaT chukā hijr bahut shauq se 'jāmī'

    māñgī nahīñ ik pal bhī tire vasl ḳhairāt

    wo shaKHs bahut karb se kahta tha yahi baat

    is shahr ki wahshat se to achchhe the mazafat

    in sare jhamelon se main waqif hun azal se

    dikhla na mujhe hijr ki ye kashf-o-karamat

    tum shauq se aae ho magar zehn mein rakhna

    main dasht hun aur dasht mein hoti nahin barsat

    basti mein koi KHauf panap sakta nahin hai

    al-hamd ki maujud qabile mein hain sadat

    jine ki riyazat mein samay kaT rahe hain

    hum logon ki duniya mein na din hai na koi raat

    karta hai talash apni hi marzi se diwane

    ye ishq hai is ka hai qabila na koi zat

    darwesh ki duniya mein faqat sabr-o-raza hai

    darwesh talab karta nahin koi maqamat

    ye peD teri yaad se sarsabz hua hai

    jhaD sakte nahin is ke kisi taur kabhi pat

    main kaT chuka hijr bahut shauq se 'jami'

    mangi nahin ek pal bhi tere wasl ki KHairaat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now