wo shaKHs bhi hai ajib-o-gharib DhunDhta hai
vo shaḳhs bhī hai ajīb-o-ġharīb DhūñDhtā hai
saf-e-raqīb meñ hai aur raqīb DhūñDhtā hai
jhulas na de kahīñ us ko bhī ātish-e-mafhūm
mirī ġhazal meñ vo zikr-e-habīb DhūñDhtā hai
agarche ho gayā būḌhā visāl kā mausam
vo bū-e-yār abhī bhī qarīb DhūñDhtā hai
vo apne ahd kā sahrā-navard hai lekin
shajar ko kaaT ke ab andalīb DhūñDhtā hai
vo sher kahtā hai yā koī jaal buntā hai
suḳhan-safar meñ ilāqa muhīb DhūñDhtā hai
wo shaKHs bhi hai ajib-o-gharib DhunDhta hai
saf-e-raqib mein hai aur raqib DhunDhta hai
jhulas na de kahin us ko bhi aatish-e-mafhum
meri ghazal mein wo zikr-e-habib DhunDhta hai
agarche ho gaya buDha visal ka mausam
wo bu-e-yar abhi bhi qarib DhunDhta hai
wo apne ahd ka sahra-naward hai lekin
shajar ko kaT ke ab andalib DhunDhta hai
wo sher kahta hai ya koi jal bunta hai
suKHan-safar mein ilaqa muhib DhunDhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.