wo shaKHs do ko hamesha hi tin kahta hai
vo shaḳhs do ko hamesha hī tiin kahtā hai
kamāl ye bhī hai ḳhud ko zahīn kahtā hai
zamānā us ke liye mah-jabīn kahtā hai
vo ḳhud ko phir bhī to pardā-nashīn kahtā hai
kaheñ jo sach to hai mumkin zabān saath na de
magar vo jhuuT bahut behtarīn kahtā hai
hai TūTnā use ik din zarūr TūTegā
gumān hai ye jise tū yaqīn kahtā hai
ye bevaqūf bahut lagtī hai avaam use
tabhī to roz hī jumle navīn kahtā hai
karo kisī se bhī maz.hab ke naam par nafrat
batā.e koī hameñ kaun diin kahtā hai
hunar bhī ḳhuub tijārat kā dekhiye sāhab
saḌe hue ko vo tāza-tarīn kahtā hai
burā.ī kartā hai merī vo piiTh pīchhe bhale
har ek sher pe to āfrīn kahtā hai
ye lafz aate haiñ dīdār husn kā karke
ġhazal 'anīs' tabhī to hasīn kahtā hai
wo shaKHs do ko hamesha hi tin kahta hai
kamal ye bhi hai KHud ko zahin kahta hai
zamana us ke liye mah-jabin kahta hai
wo KHud ko phir bhi to parda-nashin kahta hai
kahen jo sach to hai mumkin zaban sath na de
magar wo jhuT bahut behtarin kahta hai
hai TuTna use ek din zarur TuTega
guman hai ye jise tu yaqin kahta hai
ye bewaquf bahut lagti hai awam use
tabhi to roz hi jumle nawin kahta hai
karo kisi se bhi mazhab ke nam par nafrat
batae koi hamein kaun din kahta hai
hunar bhi KHub tijarat ka dekhiye sahab
saDe hue ko wo taza-tarin kahta hai
burai karta hai meri wo piTh pichhe bhale
har ek sher pe to aafrin kahta hai
ye lafz aate hain didar husn ka karke
ghazal 'anis' tabhi to hasin kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.