wo shaKHs hai asir kisi ki adaon mein
vo shaḳhs hai asiir kisī kī adāoñ meñ
hasrat se dekhtā hai jo aksar ḳhalāoñ meñ
saudā safar kā sar meñ samāyā kuchh is tarah
dam bhar kahīñ liyā na daraḳhtoñ kī chhāñv meñ
bastī hai Dā.inoñ kī ye jañgal Darāvnā
Thahre agar yahāñ to phañsoge balāoñ meñ
shahr-e-nigār terī fazā sogvār hai
ik rāgnī sī dard kī hai in havāoñ meñ
maiñ nai-navāz vaqt huuñ merī navā suno
paidā kiyā gayā huuñ agar be-navāoñ meñ
wo shaKHs hai asir kisi ki adaon mein
hasrat se dekhta hai jo aksar KHalaon mein
sauda safar ka sar mein samaya kuchh is tarah
dam bhar kahin liya na daraKHton ki chhanw mein
basti hai Dainon ki ye jangal Darawna
Thahre agar yahan to phansoge balaon mein
shahr-e-nigar teri faza sogwar hai
ek ragni si dard ki hai in hawaon mein
main nai-nawaz waqt hun meri nawa suno
paida kiya gaya hun agar be-nawaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.