wo shaKHs jis ke pyar mein aalam diwana tha
wo shaKHs jis ke pyar mein aalam diwana tha
Mohammad Javed Ishaati
MORE BYMohammad Javed Ishaati
vo shaḳhs jis ke pyaar meñ aalam divāna thā
ruḳhsat huā to yaad se ġhāfil zamāna thā
kyā thī ḳhabar ki tū hai mirī āstīñ kā saañp
tujh se to merī jaan mirā dostāna thā
bijlī girī to mujh pe girī kaise ham-nashīñ
ik saath hī to terā mirā āshiyāna thā
rāvan bhī jis ko dekh ke sharmā rahā hai aaj
itnā burā to raam kā bhārat huā na thā
gañgā pe hai shabāb na jamunā hai dil-fareb
is se to ḳhūb-tar mirā guzrā zamāna thā
lagne lagā thā hākim-e-ālā hī ḳhud-ġharaz
ġhairoñ ke haq meñ us kā amal mushfiqāna thā
'jāved' yaad aatī haiñ rishtoñ kī chāhateñ
kitnā hasīn daur thā kaisā zamāna thā
wo shaKHs jis ke pyar mein aalam diwana tha
ruKHsat hua to yaad se ghafil zamana tha
kya thi KHabar ki tu hai meri aastin ka sanp
tujh se to meri jaan mera dostana tha
bijli giri to mujh pe giri kaise ham-nashin
ek sath hi to tera mera aashiyana tha
rawan bhi jis ko dekh ke sharma raha hai aaj
itna bura to ram ka bhaarat hua na tha
ganga pe hai shabab na jamuna hai dil-fareb
is se to KHub-tar mera guzra zamana tha
lagne laga tha hakim-e-ala hi KHud-gharaz
ghairon ke haq mein us ka amal mushfiqana tha
'jawed' yaad aati hain rishton ki chahaten
kitna hasin daur tha kaisa zamana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.