wo shaKHs jo hai mere waste adu ki tarah
vo shaḳhs jo hai mire vāste adū kī tarah
ragoñ meñ dauḌtā phirtā hai kyoñ lahū kī tarah
gavāh haiñ mire ghar kī tamām dīvāreñ
ki terī yaad ko rakkhā hai aabrū kī tarah
simaT sako to simaT kar gulāb ban jaao
bikhar sako to bikhar jaao rang-o-bū kī tarah
uThā thā sūrat-e-fariyād sub.h-dam ai dost
miTā huuñ shaam ko muflis kī aarzū kī tarah
'naresh' bāñdh ke rakkhegā mujh ko kaun ki maiñ
bikhar chukā huuñ fazāoñ meñ guftugū kī tarah
wo shaKHs jo hai mere waste adu ki tarah
ragon mein dauDta phirta hai kyon lahu ki tarah
gawah hain mere ghar ki tamam diwaren
ki teri yaad ko rakkha hai aabru ki tarah
simaT sako to simaT kar gulab ban jao
bikhar sako to bikhar jao rang-o-bu ki tarah
uTha tha surat-e-fariyaad subh-dam ai dost
miTa hun sham ko muflis ki aarzu ki tarah
'naresh' bandh ke rakkhega mujh ko kaun ki main
bikhar chuka hun fazaon mein guftugu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.