Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shaKHs jo zaKHmon ki rida de ke gaya hai

Khalid Raheem

wo shaKHs jo zaKHmon ki rida de ke gaya hai

Khalid Raheem

MORE BYKhalid Raheem

    vo shaḳhs jo zaḳhmoñ ridā de ke gayā hai

    is shahr meñ jiine sazā de ke gayā hai

    sadiyoñ se maiñ sannāToñ bastī meñ khaḌā huuñ

    ye kaun mujhe sañg-e-sadā de ke gayā hai

    aayā thā koī le ke ujāloñ sahīfa

    be-nūr charāġhoñ ko ziyā de ke gayā hai

    raste meñ shajar hai na kahīñ yaad saaya

    vo jaane mujhe kaisī duā de ke gayā hai

    ḳhvāboñ ke darīchoñ se guhar lūTne vaalā

    kuchh merī talab se bhī sivā de ke gayā hai

    sochā thā bujhā degā mire soz-e-darūñ ko

    dekhā to vo sho.aloñ ko havā de ke gayā hai

    vo phuul chehra ki jo kal saath thā mere

    ik dard mire dil ko nayā de ke gayā hai

    kis soch meñ Duube ho pareshān ho 'ḳhālid'

    vo shaḳhs to jiine duā de ke gayā hai

    wo shaKHs jo zaKHmon ki rida de ke gaya hai

    is shahr mein jine ki saza de ke gaya hai

    sadiyon se main sannaTon ki basti mein khaDa hun

    ye kaun mujhe sang-e-sada de ke gaya hai

    aaya tha koi le ke ujalon ka sahifa

    be-nur charaghon ko ziya de ke gaya hai

    raste mein shajar hai na kahin yaad ka saya

    wo jaane mujhe kaisi dua de ke gaya hai

    KHwabon ke darichon se guhar luTne wala

    kuchh meri talab se bhi siwa de ke gaya hai

    socha tha bujha dega mere soz-e-darun ko

    dekha to wo shoalon ko hawa de ke gaya hai

    wo phul sa chehra ki jo kal sath tha mere

    ek dard mere dil ko naya de ke gaya hai

    kis soch mein Dube ho pareshan ho 'KHalid'

    wo shaKHs to jine ki dua de ke gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now