wo shaKHs kaun tha muD muD ke dekhta tha mujhe
vo shaḳhs kaun thā muḌ muḌ ke dekhtā thā mujhe
akelā baiTh ke pahroñ jo sochtā thā mujhe
maiñ us ke paas se guzrā to ye huā mahsūs
vo dhuup sar pe liye chhāñv de rahā thā mujhe
ulaT rahā thā mirī zindagī ke vo aurāq
kisī kitāb kī mānind paḌh rahā thā mujhe
usī meñ dekh rahā thā maiñ apnā aks-e-ḳhayāl
vo ek chehra ki jo aa.ina lagā thā mujhe
ab us kī yaad liye phir rahā huuñ shahr-ba-shahr
kabhī sukūn kā lamha jo de gayā thā mujhe
vo shaḳhs mere tavajjoh kā ban gayā thā madār
na jaane kaun sā manzar dikhā rahā thā mujhe
maiñ us ke jism kā saaya thā sar-basar 'ḳhālid'
jo raushnī kā samundar sā lag rahā thā mujhe
wo shaKHs kaun tha muD muD ke dekhta tha mujhe
akela baiTh ke pahron jo sochta tha mujhe
main us ke pas se guzra to ye hua mahsus
wo dhup sar pe liye chhanw de raha tha mujhe
ulaT raha tha meri zindagi ke wo auraq
kisi kitab ki manind paDh raha tha mujhe
usi mein dekh raha tha main apna aks-e-KHayal
wo ek chehra ki jo aaina laga tha mujhe
ab us ki yaad liye phir raha hun shahr-ba-shahr
kabhi sukun ka lamha jo de gaya tha mujhe
wo shaKHs mere tawajjoh ka ban gaya tha madar
na jaane kaun sa manzar dikha raha tha mujhe
main us ke jism ka saya tha sar-basar 'KHalid'
jo raushni ka samundar sa lag raha tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.