wo shaKHs mujhe jab se dikhai nahin deta
vo shaḳhs mujhe jab se dikhā.ī nahīñ detā
āñkheñ haiñ magar kuchh bhī sujhā.ī nahīñ detā
ḳhairāt meñ de dete haiñ rahgīr ko jitnī
utnī bhī mohabbat mujhe bhaa.ī nahīñ detā
in chīḳhtī chillātī huī galiyoñ kā mātam
dānista havelī ko sunā.ī nahīñ detā
ik arsa huā dil se mirī bantī nahīñ hai
dil mujh ko ki maiñ dil ko sunā.ī nahīñ detā
siine meñ kabhī hashr uThā rakkhā thā dil ne
ab shor-e-qayāmat bhī sunā.ī nahīñ detā
is dil ko banā rakkhā hai kis miTTī se yā-rab
jo jabr bhī sahtā hai duhā.ī nahīñ detā
wo shaKHs mujhe jab se dikhai nahin deta
aankhen hain magar kuchh bhi sujhai nahin deta
KHairaat mein de dete hain rahgir ko jitni
utni bhi mohabbat mujhe bhai nahin deta
in chiKHti chillati hui galiyon ka matam
danista haweli ko sunai nahin deta
ek arsa hua dil se meri banti nahin hai
dil mujh ko ki main dil ko sunai nahin deta
sine mein kabhi hashr uTha rakkha tha dil ne
ab shor-e-qayamat bhi sunai nahin deta
is dil ko bana rakkha hai kis miTTi se ya-rab
jo jabr bhi sahta hai duhai nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.