wo shaKHs zindagi tha faqat aarzu nahin
vo shaḳhs zindagī thā faqat aarzū nahīñ
jo aaj jā-ba-jā hai magar rū-ba-rū nahīñ
maiñ is liye udaas huuñ ḳhush-hāl vaqt meñ
sab kuchh hai mere paas magar yaar tū nahīñ
kitnā bhī muñh se boleñ magar jāntā huuñ maiñ
dil se yahāñ pe log sabhī ḳhūb-rū nahīñ
maiñ jo huuñ vo huuñ chhoḌ mujhe aur baat sun
terī bhī koī ḳhaas yahāñ aabrū nahīñ
lagtā hai zindagī hai kisī aur shai kā naam
filhāl mujh ko zindagī kī justujū nahīñ
wo shaKHs zindagi tha faqat aarzu nahin
jo aaj ja-ba-ja hai magar ru-ba-ru nahin
main is liye udas hun KHush-haal waqt mein
sab kuchh hai mere pas magar yar tu nahin
kitna bhi munh se bolen magar jaanta hun main
dil se yahan pe log sabhi KHub-ru nahin
main jo hun wo hun chhoD mujhe aur baat sun
teri bhi koi KHas yahan aabru nahin
lagta hai zindagi hai kisi aur shai ka nam
filhaal mujh ko zindagi ki justuju nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.