wo shama sar-e-bazm pighal jae to kya ho
vo sham.a sar-e-bazm pighal jaa.e to kyā ho
parvāne kī taqdīr badal jaa.e to kyā ho
is ahd-e-ḳharābāt meñ har rind-e-ḳharābāt
har gaah pe gir gir ke sañbhal jaa.e to kyā ho
aflāk pe raushan hai jo ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb
raat us ko kisī roz nigal jaa.e to kyā ho
tang aa ke tirā āshiq-e-jāñbāz kisī roz
mausam kī tarah rang badal jaa.e to kyā ho
hai qaid jo zindān-e-anāsir meñ parinda
par jhaaḌ ke ik roz nikal jaa.e to kyā ho
is ahd-e-ḳhurāfāt meñ haq-goī kā sikka
har kūcha-o-bāzār meñ chal jaa.e to kyā ho
wo shama sar-e-bazm pighal jae to kya ho
parwane ki taqdir badal jae to kya ho
is ahd-e-KHarabaat mein har rind-e-KHarabaat
har gah pe gir gir ke sanbhal jae to kya ho
aflak pe raushan hai jo KHurshid-e-jahan-tab
raat us ko kisi roz nigal jae to kya ho
tang aa ke tera aashiq-e-jaanbaz kisi roz
mausam ki tarah rang badal jae to kya ho
hai qaid jo zindan-e-anasir mein parinda
par jhaD ke ek roz nikal jae to kya ho
is ahd-e-KHurafat mein haq-goi ka sikka
har kucha-o-bazar mein chal jae to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.