wo sirf qisse kahaniyon ke muamle the charagh rakh de
vo sirf qisse kahāniyoñ ke muāmle the charāġh rakh de
charāġh ghisne se koī jin-vin nahīñ nikalte charāġh rakh de
hamārī ma.asūmiyat to dekho rakh aa.e dil ham huzūr-e-jānāñ
ki jaise koī ḳhudā kā banda havā ke aage charāġh rakh de
kisī ke saa.e ko qaid karne kā ik tarīqa batā rahā huuñ
ik us ke aage charāġh rakh de ik us ke pīchhe charāġh rakh de
tujhe bahut shauq thā mohabbat kī garm lapToñ se khelne kā
le jal ga.ī na hathelī ab ḳhush kahā thā maiñ ne charāġh rakh de
charāġh le ke bhī DhūñDne se charāġh jaisā nahīñ milegā
so rakhnī hai to charāġh se rakh nahīñ to pyāre charāġh rakh de
charāġh raushan zarūr kar to par is se pahle ḳhudā kī ḳhātir
yahāñ pe phailā hai jo añdherā sameT zer-e-charāġh rakh de
maiñ dil kī bātoñ meñ aa gayā aur uThā ke le aayā us kī paa.el
dimāġh detā rahā sadā.eñ charāġh rakh de charāġh rakh de
wo sirf qisse kahaniyon ke muamle the charagh rakh de
charagh ghisne se koi jin-win nahin nikalte charagh rakh de
hamari masumiyat to dekho rakh aae dil hum huzur-e-jaanan
ki jaise koi KHuda ka banda hawa ke aage charagh rakh de
kisi ke sae ko qaid karne ka ek tariqa bata raha hun
ek us ke aage charagh rakh de ek us ke pichhe charagh rakh de
tujhe bahut shauq tha mohabbat ki garm lapTon se khelne ka
le jal gai na hatheli ab KHush kaha tha main ne charagh rakh de
charagh le ke bhi DhunDne se charagh jaisa nahin milega
so rakhni hai to charagh se rakh nahin to pyare charagh rakh de
charagh raushan zarur kar to par is se pahle KHuda ki KHatir
yahan pe phaila hai jo andhera sameT zer-e-charagh rakh de
main dil ki baaton mein aa gaya aur uTha ke le aaya us ki pael
dimagh deta raha sadaen charagh rakh de charagh rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.