wo sitam-dost bana dost kisi ka na bane
vo sitam-dost banā dost kisī kā na bane
kyā bane baat jahāñ dil se tamanna na bane
mujh meñ bhī ik tirā jalva hai vo kāfir jalva
dekh le tū bhī jo ai sham.a to parvāna bane
dil hai aur aap ke va.ade kā yaqīñ kyā kahiye
koī itnā na banā.e koī itnā na bane
tere va.ade ne ajab sehr kiyā hai mujh par
tū bhī ḳhud yaad dilā.e to taqāzā na bane
aadmī hosh meñ apne jo rahe ai 'maikash'
ghuT ke mar jaa.e talabgār kisī kā na bane
wo sitam-dost bana dost kisi ka na bane
kya bane baat jahan dil se tamanna na bane
mujh mein bhi ek tera jalwa hai wo kafir jalwa
dekh le tu bhi jo ai shama to parwana bane
dil hai aur aap ke wade ka yaqin kya kahiye
koi itna na banae koi itna na bane
tere wade ne ajab sehr kiya hai mujh par
tu bhi KHud yaad dilae to taqaza na bane
aadmi hosh mein apne jo rahe ai 'maikash'
ghuT ke mar jae talabgar kisi ka na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.