wo sitam-gar hai KHayalat samajhne wala
vo sitam-gar hai ḳhayālāt samajhne vaalā
mujh se pahle mire jazbāt samajhne vaalā
maiñ ne rakkhā hai hamesha hī tabassum lab par
ro diyā kyuuñ mire hālāt samajhne vaalā
jo na samjhe terī manzil vo yūñhī chaltā rahā
ruk gayā tere maqāmāt samajhne vaalā
jo na samjhe vo banāte rahe lākhoñ bāteñ
huā ḳhāmosh tirī baat samajhne vaalā
rāz-e-taqdīr pe kyā raushnī Dālegā koī
ḳhud savālī hai savālāt samajhne vaalā
wo sitam-gar hai KHayalat samajhne wala
mujh se pahle mere jazbaat samajhne wala
main ne rakkha hai hamesha hi tabassum lab par
ro diya kyun mere haalat samajhne wala
jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
ruk gaya tere maqamat samajhne wala
jo na samjhe wo banate rahe lakhon baaten
hua KHamosh teri baat samajhne wala
raaz-e-taqdir pe kya raushni Dalega koi
KHud sawali hai sawalat samajhne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.