wo sitam karte gae aur main sitam sahti gai
vo sitam karte ga.e aur maiñ sitam sahtī ga.ī
kāġhazī kashtī thī maiñ barsāt meñ bahtī ga.ī
chāhe koī maane yā maane nahīñ merī dalīl
baat sach thī is liye maiñ chīḳh kar kahtī ga.ī
shāyad un ko sharm aa jaa.e to vo rusvā na hoñ
bas isī ummīd par maiñ aaj tak rahtī ga.ī
merā rishta thā samundar se to maiñ ruktī kahāñ
mauj-e-dariyā kī tarah bahtī ga.ī bahtī ga.ī
'nāz' is ummīd par shāyad ki hosh aa.e unheñ
be-asar har baat thī un par magar kahtī ga.ī
wo sitam karte gae aur main sitam sahti gai
kaghazi kashti thi main barsat mein bahti gai
chahe koi mane ya mane nahin meri dalil
baat sach thi is liye main chiKH kar kahti gai
shayad un ko sharm aa jae to wo ruswa na hon
bas isi ummid par main aaj tak rahti gai
mera rishta tha samundar se to main rukti kahan
mauj-e-dariya ki tarah bahti gai bahti gai
'naz' is ummid par shayad ki hosh aae unhen
be-asar har baat thi un par magar kahti gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.