wo sitamgar jidhar gaya hoga
vo sitamgar jidhar gayā hogā
ik zamāna udhar gayā hogā
aane vaalā zamīñ pe aatā thā
jaane vaalā kidhar gayā hogā
gāhe-gāhe to ḳhud samundar bhī
apnī lahroñ se Dar gayā hogā
chārāgar be-sabab nahīñ rotā
koī bīmār mar gayā hogā
jis pe ġham kī nazar paḌī hogī
us kā chehra nikhar gayā hogā
dil jo bigḌā huā thā muddat se
choT khā kar sañvar gayā hogā
merā dushman 'kañval' pas-e-parda
jo bhī karnā thā kar gayā hogā
wo sitamgar jidhar gaya hoga
ek zamana udhar gaya hoga
aane wala zamin pe aata tha
jaane wala kidhar gaya hoga
gahe-gahe to KHud samundar bhi
apni lahron se Dar gaya hoga
chaaragar be-sabab nahin rota
koi bimar mar gaya hoga
jis pe gham ki nazar paDi hogi
us ka chehra nikhar gaya hoga
dil jo bigDa hua tha muddat se
choT kha kar sanwar gaya hoga
mera dushman 'kanwal' pas-e-parda
jo bhi karna tha kar gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.