wo siyahkar wo badkar hamare kab the
vo siyahkār vo badkār hamāre kab the
ḳhaak meñ mil jo rahe the vo sitāre kab the
terī baḳhshish hai 'ināyat hai karam hai zālim
varna har samt ye tārāj nazāre kab the
ek koshish thī garebān talak jā pahuñcheñ
haath kaaTe jo ga.e ham ne pasāre kab the
ham ko mahfil se uThāne ko uThā dard-e-jigar
varna ham ḳhāk-nashīñ ḳhaak ke maare kab the
shahr kī saarī dukānoñ meñ usī ko dekhā
is tavajjoh se magar ham bhī nihāre kab the
baat niklī to kahā ham ne 'ibādī' baḌh kar
ḳhvāb rusvā jo hue ḳhvāb tumhāre kab the
wo siyahkar wo badkar hamare kab the
KHak mein mil jo rahe the wo sitare kab the
teri baKHshish hai 'inayat hai karam hai zalim
warna har samt ye taraj nazare kab the
ek koshish thi gareban talak ja pahunchen
hath kaTe jo gae hum ne pasare kab the
hum ko mahfil se uThane ko uTha dard-e-jigar
warna hum KHak-nashin KHak ke mare kab the
shahr ki sari dukanon mein usi ko dekha
is tawajjoh se magar hum bhi nihaare kab the
baat nikli to kaha hum ne 'ibaadi' baDh kar
KHwab ruswa jo hue KHwab tumhaare kab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.