wo soz-o-saz wo naghma KHayal-o-KHwab hua
wo soz-o-saz wo naghma KHayal-o-KHwab hua
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
vo soz-o-sāz vo naġhma ḳhayāl-o-ḳhvāb huā
miTā ke ham ko zamāna bahut ḳharāb huā
vo shaḳhs mom kā chehra lagā.e phirtā thā
vo aaj dhuup meñ niklā to be-naqāb huā
harīm-e-nāz se aa.ī hai qahqahoñ kī sadā
mire savāl kā shāyad yahī javāb huā
hazār baar tirā shukriya ġham-e-daurāñ
hazār baar hamārā hī intiḳhāb huā
ḳhudā gavāh koī mujh sā ḳhush-nasīb nahīñ
salīb-o-dār pe jab bhī huā hisāb huā
chhuā jo phuul to 'shādāñ' ulajh ga.e kāñTe
guloñ se haath lagānā bhī ik azaab huā
wo soz-o-saz wo naghma KHayal-o-KHwab hua
miTa ke hum ko zamana bahut KHarab hua
wo shaKHs mom ka chehra lagae phirta tha
wo aaj dhup mein nikla to be-naqab hua
harim-e-naz se aai hai qahqahon ki sada
mere sawal ka shayad yahi jawab hua
hazar bar tera shukriya gham-e-dauran
hazar bar hamara hi intiKHab hua
KHuda gawah koi mujh sa KHush-nasib nahin
salib-o-dar pe jab bhi hua hisab hua
chhua jo phul to 'shadan' ulajh gae kanTe
gulon se hath lagana bhi ek azab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.