wo sun na pae to sada kya hai
vo sun na paa.e to sadā kyā hai
āh-o-zārī se fā.eda kyā hai
koī pūchhe to ishq vāloñ se
dard kā dil se vāsta kyā hai
haq-bayānī milī hai virse meñ
itnī hairat se dekhtā kyā hai
saare apne hue haiñ begāne
ham ko begānoñ se gila kyā hai
jhuuT kī gard saaf kar Daalo
sach na bole to aa.ina kyā hai
tum abhī yaad bhī nahīñ aa.e
phir ye siine meñ dard sā kyā hai
jaan de us ne jaan māñgī hai
ishq meñ itnā sochtā kyā hai
kitne barham dikhā.ī dete haiñ
'shād' ne aap se kahā kyā hai
wo sun na pae to sada kya hai
aah-o-zari se faeda kya hai
koi puchhe to ishq walon se
dard ka dil se wasta kya hai
haq-bayani mili hai wirse mein
itni hairat se dekhta kya hai
sare apne hue hain begane
hum ko beganon se gila kya hai
jhuT ki gard saf kar Dalo
sach na bole to aaina kya hai
tum abhi yaad bhi nahin aae
phir ye sine mein dard sa kya hai
jaan de us ne jaan mangi hai
ishq mein itna sochta kya hai
kitne barham dikhai dete hain
'shad' ne aap se kaha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.