wo tara sab se chamkila wo tara to nahin hun main
vo taarā sab se chamkīlā vo taarā to nahīñ huuñ maiñ
is andhere ufuq par khoyā khoyā sā makīñ huuñ maiñ
qadam apnā baḌhātā huuñ vatan apnā badaltā huuñ
magar yādoñ ke ġhamgīñ rāste par rah-nashīñ huuñ maiñ
jahāñ chaltā nahīñ koī safar kartā nahīñ koī
bayābāñ bhī gulistāñ bhī vo anjānī zamīñ huuñ maiñ
ḳhamoshī ham-zabāñ merī ḳharābī ham-safar merī
Darūñ kyoñ gumrahī se gumrahī ka ham-nashīñ huuñ maiñ
tū mahfil meñ nahīñ shāmil batā 'rāhī' kahāñ hai tū
ġhubār-ālūd se is tāq-e-nisyāñ par vahīñ huuñ maiñ
wo tara sab se chamkila wo tara to nahin hun main
is andhere ufuq par khoya khoya sa makin hun main
qadam apna baDhata hun watan apna badalta hun
magar yaadon ke ghamgin raste par rah-nashin hun main
jahan chalta nahin koi safar karta nahin koi
bayaban bhi gulistan bhi wo anjaani zamin hun main
KHamoshi ham-zaban meri KHarabi ham-safar meri
Darun kyon gumrahi se gumrahi ka ham-nashin hun main
tu mahfil mein nahin shamil bata 'rahi' kahan hai tu
ghubar-alud se is taq-e-nisyan par wahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.