wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua
vo tamāshā aap kī jādū-bayānī se huā
ek sannāTā hamārī be-zabānī se huā
ek pal meñ uTh ga.e parde ka.ī asrār se
vo na hotā jo zarā sī bad-gumānī se huā
baḌh ga.ī kuchh tāqat-e-guftār bhī raftār se
shor paidā mauj-e-dariyā meñ ravānī se huā
uḌ ga.ī ḳhushbū havā meñ dhuup rañgat le uḌī
fā.eda kyā ḳhāk-e-gul kī pāsbānī se huā
jo bhī honā thā huā lekin ye hairat hai 'shahāb'
aap jaise mehrbāñ kī mehrbānī se huā
wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua
ek sannaTa hamari be-zabani se hua
ek pal mein uTh gae parde kai asrar se
wo na hota jo zara si bad-gumani se hua
baDh gai kuchh taqat-e-guftar bhi raftar se
shor paida mauj-e-dariya mein rawani se hua
uD gai KHushbu hawa mein dhup rangat le uDi
faeda kya KHak-e-gul ki pasbani se hua
jo bhi hona tha hua lekin ye hairat hai 'shahab'
aap jaise mehrban ki mehrbani se hua
- Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 137)
- Author : Mustafa Shahab
- Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.