wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha
vo tanhā thā to phir tanhā.ī kā dam-sāz honā thā
un āñkhoñ ke liye mujh ko sitāra-sāz honā thā
sabhī ḳhāmosh the āvāz par us kī so aise meñ
mujhe chup to nahīñ rahnā thā ham-āvāz honā thā
jo dil meñ thā vo ik vīrān gumbad hī meñ kah detā
ye merā ahd thā mujh ko asar-andāz honā thā
mire lab par zamāne kī shikāyat kis liye aa.ī
agar ye shor thā to us ko be-āvāz honā thā
na jaane mujh se kitne log the jo sochte ye the
ki in se ik na.ī tārīḳh kā āġhāz honā thā
jahāñ zaḳhmī tamannāoñ kī sarhad ḳhatm hotī thī
vahāñ se ik na.ī ummīd kā āġhāz honā thā
ye kār-e-ishq thā 'ashfāq' mujh se ho nahīñ paayā
mujhe bhī shā.irī meñ sāhib-e-ejāz honā thā
wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha
un aankhon ke liye mujh ko sitara-saz hona tha
sabhi KHamosh the aawaz par us ki so aise mein
mujhe chup to nahin rahna tha ham-awaz hona tha
jo dil mein tha wo ek viran gumbad hi mein kah deta
ye mera ahd tha mujh ko asar-andaz hona tha
mere lab par zamane ki shikayat kis liye aai
agar ye shor tha to us ko be-awaz hona tha
na jaane mujh se kitne log the jo sochte ye the
ki in se ek nai tariKH ka aaghaz hona tha
jahan zaKHmi tamannaon ki sarhad KHatm hoti thi
wahan se ek nai ummid ka aaghaz hona tha
ye kar-e-ishq tha 'ashfaq' mujh se ho nahin paya
mujhe bhi shairi mein sahib-e-ejaz hona tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 505)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.