wo tark-e-ishq ka tha rasta chala gaya main
vo tark-e-ishq kā thā rāsta chalā gayā maiñ
bilā-irāda hī jis par chalā chalā gayā maiñ
vo shaḳhs yūñhī kahīñ rāste meñ mil gayā thā
palak jhapak ke use dekhtā chalā gayā maiñ
mirī hayāt meñ ik dūsrī mohabbat thī
use bhī aur koī mil gayā chalā gayā maiñ
ḳhabar nahīñ ki yahāñ aur kaun hai maujūd
pata karo ki yahīñ par huuñ yā chalā gayā maiñ
phir us ke ba.ad kahāñ thā mujhe nahīñ ma.alūm
faqīr-e-ishq se le kar duā chalā gayā maiñ
wo tark-e-ishq ka tha rasta chala gaya main
bila-irada hi jis par chala chala gaya main
wo shaKHs yunhi kahin raste mein mil gaya tha
palak jhapak ke use dekhta chala gaya main
meri hayat mein ek dusri mohabbat thi
use bhi aur koi mil gaya chala gaya main
KHabar nahin ki yahan aur kaun hai maujud
pata karo ki yahin par hun ya chala gaya main
phir us ke baad kahan tha mujhe nahin malum
faqir-e-ishq se le kar dua chala gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.