wo tasawwur mein to aata hai chala jata hai
vo tasavvur meñ to aatā hai chalā jaatā hai
dhaḌkaneñ dil kī baḌhātā hai chalā jaatā hai
hone lagtā hai mujhe jab bhī takabbur kā gumāñ
koī ā.īna dikhātā hai chalā jaatā hai
koī darvesh mujhe roz savālī ban kar
ḳhvāb-e-ġhaflat se jagātā hai chalā jaatā hai
kaun hai dost yahāñ kaun hamārā dushman
gardish-e-vaqt batātā hai chalā jaatā hai
merī turbat pe sar-e-shām du'āoñ kā charāġh
koī ashkoñ se jalātā hai chalā jaatā hai
baiTh jaatā huuñ rah-e-'ishq meñ thak kar to junūñ
manzil-e-shauq baḌhātā hai chalā jaatā hai
vaqt aatā hai dabe paañv hamesha 'ālam'
sab kī auqāt batātā hai chalā jaatā hai
wo tasawwur mein to aata hai chala jata hai
dhaDkanen dil ki baDhata hai chala jata hai
hone lagta hai mujhe jab bhi takabbur ka guman
koi aaina dikhata hai chala jata hai
koi darwesh mujhe roz sawali ban kar
KHwab-e-ghaflat se jagata hai chala jata hai
kaun hai dost yahan kaun hamara dushman
gardish-e-waqt batata hai chala jata hai
meri turbat pe sar-e-sham du'aon ka charagh
koi ashkon se jalata hai chala jata hai
baiTh jata hun rah-e-'ishq mein thak kar to junun
manzil-e-shauq baDhata hai chala jata hai
waqt aata hai dabe panw hamesha 'alam'
sab ki auqat batata hai chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.