wo tawanai kahan jo kal talak aaza mein thi
vo tavānā.ī kahāñ jo kal talak aazā meñ thī
qahat-sālī ke dinoñ meñ terī yaad aatī rahī
ek be-ma.anī sī saa.at ek lā-yānī ghaḌī
jism ke ujḌe khañDar meñ ek arsa ban ga.ī
ek jhaTkā sā lagā maiñ TukḌe TukḌe ho gayā
us kī āñkhoñ se nashe kī teġh mujh par gir paḌī
jis pe mere ḳhuun kī vāzeh shahādat naqsh thī
mere qātil kī vo sābit āstīñ bhī phaT ga.ī
chār-dīvārī ke gahre ġhaar meñ soyā thā maiñ
aur ik āvāz samtoñ meñ bikhar kar rah ga.ī
wo tawanai kahan jo kal talak aaza mein thi
qahat-sali ke dinon mein teri yaad aati rahi
ek be-mani si saat ek la-yani ghaDi
jism ke ujDe khanDar mein ek arsa ban gai
ek jhaTka sa laga main TukDe TukDe ho gaya
us ki aankhon se nashe ki tegh mujh par gir paDi
jis pe mere KHun ki wazeh shahadat naqsh thi
mere qatil ki wo sabit aastin bhi phaT gai
chaar-diwari ke gahre ghaar mein soya tha main
aur ek aawaz samton mein bikhar kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.