wo tere gham ko pahchane nahin hain
vo tere ġham ko pahchāne nahīñ haiñ
abhī apnoñ meñ begāne nahīñ haiñ
hazāroñ mahfileñ aisī haiñ jin meñ
hamāre ġham ke afsāne nahīñ haiñ
jo bhar jaa.eñ vo paimāne hī samjho
jo ḳhālī haiñ vo paimāne nahīñ haiñ
tire kūche kī raunaq hai hamīñ se
tire kūche meñ dīvāne nahīñ haiñ
zarā ban-Than to le ai zindagānī
barā.e-husn vīrāne nahīñ haiñ
jahān-e-dilrubā.ī allāh allāh
jahāñ tum ho to farzāne nahīñ haiñ
vahāñ hī talḳhiyāñ piitā rahā huuñ
jahāñ ai 'daur' maiḳhāne nahīñ haiñ
wo tere gham ko pahchane nahin hain
abhi apnon mein begane nahin hain
hazaron mahfilen aisi hain jin mein
hamare gham ke afsane nahin hain
jo bhar jaen wo paimane hi samjho
jo KHali hain wo paimane nahin hain
tere kuche ki raunaq hai hamin se
tere kuche mein diwane nahin hain
zara ban-Than to le ai zindagani
barae-husn virane nahin hain
jahan-e-dilrubai allah allah
jahan tum ho to farzane nahin hain
wahan hi talKHiyan pita raha hun
jahan ai 'daur' maiKHane nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.