wo tere iltifat ka mausam guzar gaya
vo tere iltifāt kā mausam guzar gayā
achchhā huā ye bojh bhī sar se utar gayā
thā munhasir ḳharābi-e-dil par sukūn-e-zīst
bigḌe ham is tarah ki zamāna sañvar gayā
ab chashm-e-ārzū meñ koī dāstāñ nahīñ
afsāna-e-hayāt koī ḳhatm kar gayā
jaise nasīm chhū ke guzar jaa.e koī phuul
terā ḳhayāl yuuñ mire dil se guzar gayā
ai ḳhūn-e-ārzū tirā ehsān kyā kahūñ
tū kisht-e-ārzū mirī shādāb kar gayā
bazm-e-vafā meñ vo hama-tan-gosh the magar
hoñToñ tak aa ke harf-e-tamannā kidhar gayā
umr-e-bahār aur 'ġhanī' itnī muḳhtasar
jhapkī jo aañkh qāfla-e-dil guzar gayā
kyā pūchhte ho tum ḳhalish-e-dil kā mājrā
dāmān-e-ārzū koī kāñToñ se bhar gayā
wo tere iltifat ka mausam guzar gaya
achchha hua ye bojh bhi sar se utar gaya
tha munhasir KHarabi-e-dil par sukun-e-zist
bigDe hum is tarah ki zamana sanwar gaya
ab chashm-e-arzu mein koi dastan nahin
afsana-e-hayat koi KHatm kar gaya
jaise nasim chhu ke guzar jae koi phul
tera KHayal yun mere dil se guzar gaya
ai KHun-e-arzu tera ehsan kya kahun
tu kisht-e-arzu meri shadab kar gaya
bazm-e-wafa mein wo hama-tan-gosh the magar
honTon tak aa ke harf-e-tamanna kidhar gaya
umr-e-bahaar aur 'ghani' itni muKHtasar
jhapki jo aankh qafla-e-dil guzar gaya
kya puchhte ho tum KHalish-e-dil ka majra
daman-e-arzu koi kanTon se bhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.