wo teri nigahon ka aalam jo mast-kun-o-mastana tha
vo terī nigāhoñ kā 'ālam jo mast-kun-o-mastāna thā
mai-ḳhāne kā mai-ḳhāna thā paimāne kā paimāna thā
ābādī-e-dil kā 'ālam bhī ik ḳhvāb thā yā afsāna thā
jab aañkh lagī kāshāna thā jab aañkh khulī vīrāna thā
mauqūf thī dil kī hālat par vīrānī bhī ābādī bhī
vīrāna bhī kāshāna thā kāshāna bhī vīrāna thā
ādāb-e-tamāshā se vāqif kab shaiḳh-o-barahman the varna
but-ḳhāne meñ bhī kā'ba thā kā'be meñ bhī but-ḳhāna thā
jab 'ishq meñ gum atrāf huiiñ jab soz meñ mahv jihāt huiiñ
jo sham' thī vo parvāna thā vo sham' thī jo parvāna thā
kuchh terī zulf-e-mushkīñ ke asrār khule to mastī meñ
dīvāna thā vo hosh meñ thā jo hosh meñ thā dīvāna thā
kyā jaane kis ne kyā samjhā andāz-e-bayān-e-'zahīn' thā kyā
har lafz meñ ek haqīqat thī har lafz magar afsāna thā
wo teri nigahon ka 'alam jo mast-kun-o-mastana tha
mai-KHane ka mai-KHana tha paimane ka paimana tha
aabaadi-e-dil ka 'alam bhi ek KHwab tha ya afsana tha
jab aankh lagi kashana tha jab aankh khuli virana tha
mauquf thi dil ki haalat par virani bhi aabaadi bhi
virana bhi kashana tha kashana bhi virana tha
aadab-e-tamasha se waqif kab shaiKH-o-barahman the warna
but-KHane mein bhi ka'ba tha ka'be mein bhi but-KHana tha
jab 'ishq mein gum atraf huin jab soz mein mahw jihat huin
jo sham' thi wo parwana tha wo sham' thi jo parwana tha
kuchh teri zulf-e-mushkin ke asrar khule to masti mein
diwana tha wo hosh mein tha jo hosh mein tha diwana tha
kya jaane kis ne kya samjha andaz-e-bayan-e-'zahin' tha kya
har lafz mein ek haqiqat thi har lafz magar afsana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.