wo tez harf jo phenka guzarne wale ne
vo tez harf jo pheñkā guzarne vaale ne
uThā liyā hai use ghar meñ Darne vaale ne
na pūchh kitnī baḌī tīrgī ko paar kiyā
zarā sī raushnī āñkhoñ meñ bharne vaale ne
na jaane din kā lahū kis qadar kashīd kiyā
shafaq se shaam ke dāman ko bharne vaale ne
bahut hī gahrā thā paanī meñ Dar gayā 'shāhīñ'
sadā to dī thī mujhe bhī utarne vaale ne
wo tez harf jo phenka guzarne wale ne
uTha liya hai use ghar mein Darne wale ne
na puchh kitni baDi tirgi ko par kiya
zara si raushni aankhon mein bharne wale ne
na jaane din ka lahu kis qadar kashid kiya
shafaq se sham ke daman ko bharne wale ne
bahut hi gahra tha pani mein Dar gaya 'shahin'
sada to di thi mujhe bhi utarne wale ne
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 407)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.