wo the pahlu mein aur thi chandni raat
wo the pahlu mein aur thi chandni raat
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
vo the pahlū meñ aur thī chāñdnī raat
hamārī zindagī thī bas vahī raat
ajab chashmak-zanī thī vasl kī raat
nazar un kī thī aur tāroñ-bharī raat
nigāh-e-mast un kī keh rahī hai
kahīñ hotī rahī sāqī-garī raat
abas hai vāda-e-fardā tumhārā
marīz-e-ishq kī hai āḳhirī raat
kisī ne vāda-e-fardā kiyā hai
hameñ mar kar basar karnī paḌī raat
'tabassum' se kisī ke ban ga.ī thī
mirī ḳhalvat sarāpā chāñdnī raat
wo the pahlu mein aur thi chandni raat
hamari zindagi thi bas wahi raat
ajab chashmak-zani thi wasl ki raat
nazar un ki thi aur taron-bhari raat
nigah-e-mast un ki keh rahi hai
kahin hoti rahi saqi-gari raat
abas hai wada-e-farda tumhaara
mariz-e-ishq ki hai aaKHiri raat
kisi ne wada-e-farda kiya hai
hamein mar kar basar karni paDi raat
'tabassum' se kisi ke ban gai thi
meri KHalwat sarapa chandni raat
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 80)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.