wo tirgi-e-shab hai ki ghar lauT gae hain
vo tīrgī-e-shab hai ki ghar lauT ga.e haiñ
us dar se abhī najm-o-qamar lauT ga.e haiñ
ai mausam-e-gul tū abhī aayā hai yahāñ par
jab shāḳh-o-shajar dīda-e-tar lauT ga.e haiñ
shab bhar to tirī yaad kā mela sā lagā thā
is bhiiḌ meñ kuchh ḳhvāb-e-sahar lauT ga.e haiñ
ham haiñ ki tire saath chale jaate haiñ varna
sab log shurūāt-e-safar lauT ga.e haiñ
jab shaam ke saa.e shajar-o-shāḳh se utre
ham takte hue rāh-guzar lauT ga.e haiñ
aa.e the bahut taish meñ vo mujh ko Dubone
dekhā jo mirā azm bhañvar lauT ga.e haiñ
sannāTe tujhe malne ko aa.e the savere
rokā thā bahut ham ne magar lauT ga.e haiñ
bas ham haiñ tire shahr meñ Thahre hue ab tak
sab tājir-e-marjān-o-guhar lauT ga.e haiñ
ab ke to ye sahrā bhī sahārā nahīñ detā
dīvāne sabhī ḳhāk-ba-sar lauT ga.e haiñ
ḳhvāboñ ko 'salīm' aañkh meñ ruknā hī nahīñ thā
vo kar ke mujhe zer-o-zabar lauT ga.e haiñ
wo tirgi-e-shab hai ki ghar lauT gae hain
us dar se abhi najm-o-qamar lauT gae hain
ai mausam-e-gul tu abhi aaya hai yahan par
jab shaKH-o-shajar dida-e-tar lauT gae hain
shab bhar to teri yaad ka mela sa laga tha
is bhiD mein kuchh KHwab-e-sahar lauT gae hain
hum hain ki tere sath chale jate hain warna
sab log shuruat-e-safar lauT gae hain
jab sham ke sae shajar-o-shaKH se utre
hum takte hue rah-guzar lauT gae hain
aae the bahut taish mein wo mujh ko Dubone
dekha jo mera azm bhanwar lauT gae hain
sannaTe tujhe malne ko aae the sawere
roka tha bahut hum ne magar lauT gae hain
bas hum hain tere shahr mein Thahre hue ab tak
sab tajir-e-marjaan-o-guhar lauT gae hain
ab ke to ye sahra bhi sahaara nahin deta
diwane sabhi KHak-ba-sar lauT gae hain
KHwabon ko 'salim' aankh mein rukna hi nahin tha
wo kar ke mujhe zer-o-zabar lauT gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.