wo tilism-e-nigah-e-naz kahan bhula hai
vo tilism-e-nigah-e-nāz kahāñ bhūlā hai
ġham kī rūdād kā āġhāz kahāñ bhūlā hai
kitnā dilkash hai tire husn-e-nazar kā manzar
dekhne kā mujhe andāz kahāñ bhūlā hai
kitne naġhme mire kānoñ meñ musalsal gūñje
par tirā sho.ala-e-āvāz kahāñ bhūlā hai
mutrib-e-shahr kī āvāz meñ dilkash sī khanak
aaj bhī naġhma-e-be-sāz kahāñ bhūlā hai
kaun kahtā hai mujhe bhuul gayā hai 'tanhā'
merī bāteñ mirā ham-rāz kahāñ bhūlā hai
wo tilism-e-nigah-e-naz kahan bhula hai
gham ki rudad ka aaghaz kahan bhula hai
kitna dilkash hai tere husn-e-nazar ka manzar
dekhne ka mujhe andaz kahan bhula hai
kitne naghme mere kanon mein musalsal gunje
par tera shoala-e-awaz kahan bhula hai
mutrib-e-shahr ki aawaz mein dilkash si khanak
aaj bhi naghma-e-be-saz kahan bhula hai
kaun kahta hai mujhe bhul gaya hai 'tanha'
meri baaten mera ham-raaz kahan bhula hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.