wo to baiThe rahe sar jhukae hue
vo to baiThe rahe sar jhukā.e hue
jaadū un kī nigāhoñ ke chalte rahe
mushkiloñ ne bahut raah rokī magar
jin ko manzil kī dhun thī vo chalte rahe
maiñ unheñ bhī gale se lagātā rahā
mere baare meñ jo zahr ugalte rahe
ham to qaa.em rahe apnī har baat par
tum ba-rañg-e-zamāna badalte rahe
yaad ke jugnuoñ se vo aalam rahā
diip bujhte rahe diip jalte rahe
ham ne dāman na apnā bhigoyā 'hafīz'
dil meñ tūfān lākhoñ machalte rahe
wo to baiThe rahe sar jhukae hue
jadu un ki nigahon ke chalte rahe
mushkilon ne bahut rah roki magar
jin ko manzil ki dhun thi wo chalte rahe
main unhen bhi gale se lagata raha
mere bare mein jo zahr ugalte rahe
hum to qaem rahe apni har baat par
tum ba-rang-e-zamana badalte rahe
yaad ke jugnuon se wo aalam raha
dip bujhte rahe dip jalte rahe
hum ne daman na apna bhigoya 'hafiz'
dil mein tufan lakhon machalte rahe
- Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 435)
- Author : Hafeez Banarsi
- Publication : Hafeez Banarsi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.