wo to hai dushman-e-jaan dad-e-wafa kya dega
vo to hai dushman-e-jāñ dād-e-vafā kyā degā
jo kabhī zahr na dai paayā davā kyā degā
kal kahīñ aaj kahīñ apnā safar nā-mā'lūm
koī be-samt havāoñ kā patā kyā degā
is se sar phoḌ ke mar jaao to kuchh baat bane
zindagī ye tumheñ patthar kā ḳhudā kyā degā
ḳhud tumhīñ jism kī dīvār meñ khiḌkī kholo
ek zindān hai sāñsoñ kā havā kyā degā
zard pattoñ kī tarah girte haiñ pal pal aañsū
terā ġham bhī mujhe ab saaya ghanā kyā degā
zindagī naam huī us ke to Darnā kaisā
'aah' ab maut se baḌh kar vo sazā kyā degā
wo to hai dushman-e-jaan dad-e-wafa kya dega
jo kabhi zahr na dai paya dawa kya dega
kal kahin aaj kahin apna safar na-ma'lum
koi be-samt hawaon ka pata kya dega
is se sar phoD ke mar jao to kuchh baat bane
zindagi ye tumhein patthar ka KHuda kya dega
KHud tumhin jism ki diwar mein khiDki kholo
ek zindan hai sanson ka hawa kya dega
zard patton ki tarah girte hain pal pal aansu
tera gham bhi mujhe ab saya ghana kya dega
zindagi nam hui us ke to Darna kaisa
'ah' ab maut se baDh kar wo saza kya dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.