wo to har chahne wale pe fida lagta hai
vo to har chāhne vaale pe fidā lagtā hai
jaane kis kis kā hai jo mujh ko mirā lagtā hai
us ne qadmoñ meñ sajā rakkhe haiñ ummīd ke phuul
dekhne vāloñ ko jo ābla-pā lagtā hai
ab na sun pā.egā vo merī sadā.eñ shāyad
vo kahīñ duur bahut duur gayā lagtā hai
par jo phailātā nahīñ ḳhauf se apne panchhī
taaza taaza kisī piñjre se uḌā lagtā hai
ye jo ham jaisā hī insān hai insān abhī
is ko masnad pe biThā deñ to judā lagtā hai
maiñ bhulā detā huuñ har baar jafā.eñ us kī
jab bhī siine se mire TuuT ke aa lagtā hai
aao is pyaar ko ham āḳhirī pursa de deñ
is tarah chhoḌ ke jaanā to burā lagtā hai
wo to har chahne wale pe fida lagta hai
jaane kis kis ka hai jo mujh ko mera lagta hai
us ne qadmon mein saja rakkhe hain ummid ke phul
dekhne walon ko jo aabla-pa lagta hai
ab na sun paega wo meri sadaen shayad
wo kahin dur bahut dur gaya lagta hai
par jo phailata nahin KHauf se apne panchhi
taza taza kisi pinjre se uDa lagta hai
ye jo hum jaisa hi insan hai insan abhi
is ko masnad pe biTha den to juda lagta hai
main bhula deta hun har bar jafaen us ki
jab bhi sine se mere TuT ke aa lagta hai
aao is pyar ko hum aaKHiri pursa de den
is tarah chhoD ke jaana to bura lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.