wo to itna hi kare aap ka chehra dekhe
wo to itna hi kare aap ka chehra dekhe
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
vo to itnā hī kare aap kā chehra dekhe
ishq jab hone lage dauḌ ke duniyā dekhe
aañkh khul jaa.e to vo terā hī rasta dekhe
aañkh lag jaa.e to vo ḳhvāb bhī terā dekhe
maiñ bhalā us ke bharose pe kahāñ tak jaatā
raah meñ jis ne shajar mujh se ziyāda dekhe
jo zabāñ vaalā hai chup-chāp nikal jaa.e aur
jo nazar vaalā hai vo sirf tamāsha dekhe
duniyā-dārī se bahalte nahīñ dīvāne log
shiddat-e-pyās to har samt hī dariyā dekhe
varna ik umr huī bhiiḌ meñ hañste ham ko
us kī qismat jo hameñ sāmne rotā dekhe
vo kabhī chāñd sā khil jaa.e mirī khiḌkī par
mujh ko muddat huī rātoñ meñ ujālā dekhe
wo to itna hi kare aap ka chehra dekhe
ishq jab hone lage dauD ke duniya dekhe
aankh khul jae to wo tera hi rasta dekhe
aankh lag jae to wo KHwab bhi tera dekhe
main bhala us ke bharose pe kahan tak jata
rah mein jis ne shajar mujh se ziyaada dekhe
jo zaban wala hai chup-chap nikal jae aur
jo nazar wala hai wo sirf tamasha dekhe
duniya-dari se bahalte nahin diwane log
shiddat-e-pyas to har samt hi dariya dekhe
warna ek umr hui bhiD mein hanste hum ko
us ki qismat jo hamein samne rota dekhe
wo kabhi chand sa khil jae meri khiDki par
mujh ko muddat hui raaton mein ujala dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.