wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai
vo to nahīñ milā hai sāñsoñ jiye to kyā hai
dil ab bhī pyaas par hai ġham pī liye to kyā hai
saarī ḳhushī hamārī āñkhoñ se chhan rahī hai
kuchh der tum ne gesū lahrā diye to kyā hai
be-tābiyāñ bhī kitnī muñh-zor ho ga.iiñ haiñ
tūfān jaate jaate kuchh mar liye to kyā hai
maiñ bhī vahāñ purāne zaḳhmoñ ko dho rahā thā
tū ne bhī aaj din bhar dukhḌe siye to kyā hai
hañs hañs ke kah rahā hai ye raat kā darīcha
ab guuñj ubhar rahī hai lab sī liye to kyā hai
us mai-kade meñ ab bhī taqsīm hai purānī
chhalkā diye to kyā hai ulTā diye to kyā hai
wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai
dil ab bhi pyas par hai gham pi liye to kya hai
sari KHushi hamari aankhon se chhan rahi hai
kuchh der tum ne gesu lahra diye to kya hai
be-tabiyan bhi kitni munh-zor ho gain hain
tufan jate jate kuchh mar liye to kya hai
main bhi wahan purane zaKHmon ko dho raha tha
tu ne bhi aaj din bhar dukhDe siye to kya hai
hans hans ke kah raha hai ye raat ka daricha
ab gunj ubhar rahi hai lab si liye to kya hai
us mai-kade mein ab bhi taqsim hai purani
chhalka diye to kya hai ulTa diye to kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.