wo tohmaten na lagata to aur kya karta
vo tohmateñ na lagātā to aur kyā kartā
mire hunar na chhupātā to aur kyā kartā
khaḌī thiiñ har-sū mazālim kī āñdhiyāñ phir maiñ
charāġh-e-haq na jalātā to aur kyā kartā
ġharībī saath mirā de rahī thī bachpan se
na us kā saath nibhātā to aur kyā kartā
maiñ chhāle maañ kī hathelī pe dekhtā kaise
kamāne shahr na aatā to aur kyā kartā
tamām bastī pareshāñ thī raushnī ke liye
maiñ apnā ghar na jalātā to aur kyā kartā
samajh rahā thā farishta vo ḳhud ko ai 'ālam'
maiñ aa.ina na dikhātā to aur kyā kartā
wo tohmaten na lagata to aur kya karta
mere hunar na chhupata to aur kya karta
khaDi thin har-su mazalim ki aandhiyan phir main
charagh-e-haq na jalata to aur kya karta
gharibi sath mera de rahi thi bachpan se
na us ka sath nibhata to aur kya karta
main chhaale man ki hatheli pe dekhta kaise
kamane shahr na aata to aur kya karta
tamam basti pareshan thi raushni ke liye
main apna ghar na jalata to aur kya karta
samajh raha tha farishta wo KHud ko ai 'alam'
main aaina na dikhata to aur kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.