Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo tulua-e-manzar-e-pur-asar tujhe yaad ho ki na yaad ho

Suhaib Farooqui

wo tulua-e-manzar-e-pur-asar tujhe yaad ho ki na yaad ho

Suhaib Farooqui

MORE BYSuhaib Farooqui

    vo tulūa-e-manzar-e-pur-asar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    vo vidā-e-shab vo na.ī sahar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    kabhī chāñd tāroñ meñ DhūñDhnā kabhī māh-pāroñ meñ dekhnā

    vo talāsh-e-jalva-e-mo'atabar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    thiiñ suḳhan suḳhan tirī rif.ateñ vo ġhazal ġhazal tirī nik.hateñ

    thā sher sher meñ jalva-gar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    vahī ashk-rez rivāyateñ vo vidā.a burī sā.ateñ

    thā ajiib manzar-e-ġham-asar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    tire ġhamze ġhamze ilm thā tirī har adā se thā āshnā

    vo mirī basārat-e-bā-ḳhabar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    tirā jāñ-nisār thā aur huuñ usī tarah huuñ usī taur huuñ

    maiñ 'suhaib' shā.ir-e-dīda-var tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wo tulua-e-manzar-e-pur-asar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wo wida-e-shab wo nai sahar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    kabhi chand taron mein DhunDhna kabhi mah-paron mein dekhna

    wo talash-e-jalwa-e-mo'atabar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    thin suKHan suKHan teri rifaten wo ghazal ghazal teri nikhaten

    tha tu sher sher mein jalwa-gar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wahi ashk-rez riwayaten wo widaa ki buri saaten

    tha ajib manzar-e-gham-asar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    tere ghamze ghamze ka ilm tha teri har ada se tha aashna

    wo meri basarat-e-ba-KHabar tujhe yaad ho ki na yaad ho

    tera jaan-nisar tha aur hun usi tarah hun usi taur hun

    main 'suhaib' shair-e-dida-war tujhe yaad ho ki na yaad ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now