wo tund-KHu hi sahi mauja-e-KHizan ki tarah
vo tund-ḳhū hī sahī mauja-e-ḳhizāñ kī tarah
dikhā.ī detā to hai abr-e-mehrbāñ kī tarah
tamām-rāt sulagtā rahā zamīñ kā badan
sahar khulī to kisī jalte bādbāñ kī tarah
tirī talāsh meñ ab bhī khulā ki āñgan meñ
ravāñ hai chāñd kisī barg-e-nīm-jāñ kī tarah
maiñ jal rahā thā sulagte safed sahrā meñ
gale milā vo mujhe mauja-e-ravāñ kī tarah
chalīñ vo tund havā.eñ ki taar taar huā
vo sabz peḌ ki lagtā thā sā.ebāñ kī tarah
kahāñ pe chhoḌ gayā qāfila ḳhayāloñ kā
rukā paḌā huuñ kisī naqsh-e-be-nishāñ kī tarah
baras rahe haiñ falak se zamīn par jugnū
fazā udaas hai 'shafqat' luTe makāñ kī tarah
wo tund-KHu hi sahi mauja-e-KHizan ki tarah
dikhai deta to hai abr-e-mehrban ki tarah
tamam-raat sulagta raha zamin ka badan
sahar khuli to kisi jalte baadban ki tarah
teri talash mein ab bhi khula ki aangan mein
rawan hai chand kisi barg-e-nim-jaan ki tarah
main jal raha tha sulagte safed sahra mein
gale mila wo mujhe mauja-e-rawan ki tarah
chalin wo tund hawaen ki tar tar hua
wo sabz peD ki lagta tha saeban ki tarah
kahan pe chhoD gaya qafila KHayalon ka
ruka paDa hun kisi naqsh-e-be-nishan ki tarah
baras rahe hain falak se zamin par jugnu
faza udas hai 'shafqat' luTe makan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.