wo uljhe baal yun suljha raha tha
vo uljhe baal yuuñ suljhā rahā thā
mirā dil is adā par aa rahā thā
pahan rakkhā thā maiñ ne surḳh joḌā
magar phir bhī ġhazab vo Dhā rahā thā
surīlā is qadar lahja thā us kā
havā par giit likhtā jā rahā thā
mohabbat kī vo kuchh man-māniyāñ thiiñ
ki jis par chāñd bhī sharmā rahā thā
adā kuchh ḳhaas hī thī 'nāz' us meñ
muqābil husn ke itrā rahā thā
wo uljhe baal yun suljha raha tha
mera dil is ada par aa raha tha
pahan rakkha tha main ne surKH joDa
magar phir bhi ghazab wo Dha raha tha
surila is qadar lahja tha us ka
hawa par git likhta ja raha tha
mohabbat ki wo kuchh man-maniyan thin
ki jis par chand bhi sharma raha tha
ada kuchh KHas hi thi 'naz' us mein
muqabil husn ke itra raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.