wo umangen nahin ab wo dil-e-nashad nahin
vo umañgeñ nahīñ ab vo dil-e-nāshād nahīñ
vāqi.a ḳhvāb sā kuchh yaad hai kuchh yaad nahīñ
kaun se zarre pe duniyā-e-ġham ābād nahīñ
dil-e-barbād hamārā dil-e-barbād nahīñ
vo ho duniyā ki lahad yā ki ho roz-e-mahshar
mubtalā-e-ġham-e-jānāñ kahīñ āzād nahīñ
tū jo sargarm-e-tamāshā ho dam-e-mashq-e-sitam
kis ko phir shauq-e-shahādat sitam-ījād nahīñ
paas hai zabt-e-mohabbat kā sitamgar varna
ik nafas bhī mirā begāna-e-fariyād nahīñ
ab to har samt nazar aate haiñ jalve jalve
be-ḳhudī meñ koī parda dil-e-nāshād nahīñ
kāvish-e-dām-o-qafas mere liye thī goyā
varna gulshan hai vahī aaj bhī sayyād nahīñ
tābish-e-husn se ik be-ḳhudī chhā.ī pahle
baad us ke huā phir kyā ye mujhe yaad nahīñ
mar ke 'afqar' yahāñ miltī hai hayāt-e-jāved
āstāñ yaar kā hai jannat-e-shaddād nahīñ
wo umangen nahin ab wo dil-e-nashad nahin
waqia KHwab sa kuchh yaad hai kuchh yaad nahin
kaun se zarre pe duniya-e-gham aabaad nahin
dil-e-barbaad hamara dil-e-barbaad nahin
wo ho duniya ki lahad ya ki ho roz-e-mahshar
mubtala-e-gham-e-jaanan kahin aazad nahin
tu jo sargarm-e-tamasha ho dam-e-mashq-e-sitam
kis ko phir shauq-e-shahadat sitam-ijad nahin
pas hai zabt-e-mohabbat ka sitamgar warna
ek nafas bhi mera begana-e-fariyaad nahin
ab to har samt nazar aate hain jalwe jalwe
be-KHudi mein koi parda dil-e-nashad nahin
kawish-e-dam-o-qafas mere liye thi goya
warna gulshan hai wahi aaj bhi sayyaad nahin
tabish-e-husn se ek be-KHudi chhai pahle
baad us ke hua phir kya ye mujhe yaad nahin
mar ke 'afqar' yahan milti hai hayat-e-jawed
aastan yar ka hai jannat-e-shaddad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.