wo uTh kar qayamat uThana kisi ka
vo uTh kar qayāmat uThānā kisī kā
vo dil thaam kar baiTh jaanā kisī kā
burā gar na maano to itnā kaheñ ham
ki achchhā nahīñ hai satānā kisī kā
mirī aah ne un ko taḌpā diyā hai
jinheñ khel thā dil dukhānā kisī kā
zabāñ go huī band bismil kī lekin
lab-e-zaḳhm par hai fasāna kisī kā
uThe mere pahlū se dil thaam kar vo
qayāmat huā yaad aanā kisī kā
mire dushman-e-jāñ sab ahl-e-jahāñ meñ
ki āshiq hai saarā zamāna kisī kā
ajab kyā hazāroñ ko bīmār Daale
kisī kī ayādat ko jaanā kisī kā
tire vasl se naaz hai kyoñ adū ko
rahegā na yaksāñ zamāna kisī kā
mujhe aur bhī bad-gumāñ kar rahā hai
qasam mere sar kī na khānā kisī kā
taḌapne meñ kyā jaane kyā muñh se nikle
na dukhtā huā dil dukhānā kisī kā
vo 'naushād' kā chheḌnā vasl kī shab
vo sharmā ke āñkheñ jhukānā kisī kā
wo uTh kar qayamat uThana kisi ka
wo dil tham kar baiTh jaana kisi ka
bura gar na mano to itna kahen hum
ki achchha nahin hai satana kisi ka
meri aah ne un ko taDpa diya hai
jinhen khel tha dil dukhana kisi ka
zaban go hui band bismil ki lekin
lab-e-zaKHm par hai fasana kisi ka
uThe mere pahlu se dil tham kar wo
qayamat hua yaad aana kisi ka
mere dushman-e-jaan sab ahl-e-jahan mein
ki aashiq hai sara zamana kisi ka
ajab kya hazaron ko bimar Dale
kisi ki ayaadat ko jaana kisi ka
tere wasl se naz hai kyon adu ko
rahega na yaksan zamana kisi ka
mujhe aur bhi bad-guman kar raha hai
qasam mere sar ki na khana kisi ka
taDapne mein kya jaane kya munh se nikle
na dukhta hua dil dukhana kisi ka
wo 'naushad' ka chheDna wasl ki shab
wo sharma ke aankhen jhukana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.