wo uTThe hain tewar badalte hue
vo uTThe haiñ tevar badalte hue
chalo dekheñ talvār chalte hue
na dekhā tire daur meñ ai falak
nihāl-e-tamannā ko phalte hue
haiñ añgusht-hairat-ba-dandāñ masīh
vo murde jilāte haiñ chalte hue
chalo mai-kada mahfil-e-va.az se
ye ammāme dekho uchhalte hue
zabāñ par tirā naam jab aa gayā
to girte ko dekhā sambhalte hue
mohabbat meñ paa.e har ik raah se
hazāroñ hī raste nikalte hue
haiñ kyā un kī zulfeñ ye ai dil na pūchh
chhalāve ko dekhā hai chhalte hue
bane juzv-e-tan jab chubhe ḳhār-e-ġham
ye kāñTe na dekhe nikalte hue
kiyā kuchh na jab tak rahā iḳhtiyār
jahāñ se chale haath malte hue
ġham-e-ishq paidā huā mere saath
use guzrī ik 'umr palte hue
ruke kis tarah teġh-e-abrū kā vaar
sunā hai ajal ko bhī Talte hue
in āñkhoñ ke fitnoñ kā kyā pūchhnā
ye jaadū haiñ lākhoñ meñ chalte hue
nahīñ sham.a-e-āriz pe ḳhat jam' haiñ
hazāroñ hī parvāne jalte hue
fasāne haiñ mash.hūr ushshāq ke
kaTī 'umr furqat meñ jalte hue
javāñ marte dekhe bahut nā-murād
sunā hogā armāñ nikalte hue
nahīñ khel chalnā rah-e-'ishq meñ
zarā paañv rakhnā sambhalte hue
jo mash.hūr sābit qadam the 'habīb'
unheñ ham ne dekhā phisalte hue
wo uTThe hain tewar badalte hue
chalo dekhen talwar chalte hue
na dekha tere daur mein ai falak
nihaal-e-tamanna ko phalte hue
hain angusht-hairat-ba-dandan masih
wo murde jilate hain chalte hue
chalo mai-kada mahfil-e-waz se
ye ammame dekho uchhalte hue
zaban par tera nam jab aa gaya
to girte ko dekha sambhalte hue
mohabbat mein pae har ek rah se
hazaron hi raste nikalte hue
hain kya un ki zulfen ye ai dil na puchh
chhalawe ko dekha hai chhalte hue
bane juzw-e-tan jab chubhe KHar-e-gham
ye kanTe na dekhe nikalte hue
kiya kuchh na jab tak raha iKHtiyar
jahan se chale hath malte hue
gham-e-ishq paida hua mere sath
use guzri ek 'umr palte hue
ruke kis tarah tegh-e-abru ka war
suna hai ajal ko bhi Talte hue
in aankhon ke fitnon ka kya puchhna
ye jadu hain lakhon mein chalte hue
nahin shama-e-ariz pe KHat jam' hain
hazaron hi parwane jalte hue
fasane hain mashhur ushshaq ke
kaTi 'umr furqat mein jalte hue
jawan marte dekhe bahut na-murad
suna hoga arman nikalte hue
nahin khel chalna rah-e-'ishq mein
zara panw rakhna sambhalte hue
jo mashhur sabit qadam the 'habib'
unhen hum ne dekha phisalte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.