wo wade pe wade kiye ja rahe hain
vo va.ade pe va.ade kiye jā rahe haiñ
umīdoñ pe ham bhī jiye jā rahe haiñ
garebāñ kī dhajjī kisī ne na dekhī
magar lab khule to siye jā rahe haiñ
gila hī sahī kam se kam is bahāne
mujhe yaad to vo kiye jā rahe haiñ
samajhnā na vaa.iz ise bāda-noshī
davā hosh kī ham piye jā rahe haiñ
abhī din nahīñ vo ki tauba kareñ ham
abhī fasl-e-gul hai piye jā rahe haiñ
ḳhudā ḳhair kar ab mire dil ko bhī vo
khilaunā samajh kar liye jā rahe haiñ
judā.ī kā ġham vo nahīñ sah sakeñge
isī ġham meñ 'shāhid' jiye jā rahe haiñ
wo wade pe wade kiye ja rahe hain
umidon pe hum bhi jiye ja rahe hain
gareban ki dhajji kisi ne na dekhi
magar lab khule to siye ja rahe hain
gila hi sahi kam se kam is bahane
mujhe yaad to wo kiye ja rahe hain
samajhna na waiz ise baada-noshi
dawa hosh ki hum piye ja rahe hain
abhi din nahin wo ki tauba karen hum
abhi fasl-e-gul hai piye ja rahe hain
KHuda KHair kar ab mere dil ko bhi wo
khilauna samajh kar liye ja rahe hain
judai ka gham wo nahin sah sakenge
isi gham mein 'shahid' jiye ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.