wo wahan ghair ko mehman kiye baiThe hain
vo vahāñ ġhair ko mehmān kiye baiThe haiñ
ham yahāñ aish kā sāmān kiye baiThe haiñ
zahar khā leñge shab-e-va.ada na aaoge agar
apnī mushkil ko ham āsān kiye baiThe haiñ
kal shab-e-vasl thī sab aish mayassar the hameñ
aaj ham chaak garebān kiye baiThe haiñ
ishq parde meñ rahe kab talak ai josh-e-junūñ
ham bhī tūfān kā sāmān kiye baiThe haiñ
un kī zulfoñ kā tasavvur bhī ġhazab hai 'āshiq'
dil ko ḳhud apne pareshān kiye baiThe haiñ
wo wahan ghair ko mehman kiye baiThe hain
hum yahan aish ka saman kiye baiThe hain
zahar kha lenge shab-e-wada na aaoge agar
apni mushkil ko hum aasan kiye baiThe hain
kal shab-e-wasl thi sab aish mayassar the hamein
aaj hum chaak gareban kiye baiThe hain
ishq parde mein rahe kab talak ai josh-e-junun
hum bhi tufan ka saman kiye baiThe hain
un ki zulfon ka tasawwur bhi ghazab hai 'ashiq'
dil ko KHud apne pareshan kiye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.